Searching...

http://sofiyahayat.blogspot.com/

  • Posted: 26 Oct 2013 07:51 PM PDT

    Yak Tarfa Muhabat Ka Nuqsan Boht Hia
    Dil Toth Jane ka Imkan Boht Hia
    hum toth kar cahein jise use kaber nahi
    is amer per dil e nadan heran boht hia
    feryad kati meri tnahai
    bas jao is dil main ya weran boht hia
    hum kahan kisi k aeb se perda utaen gae
    cuhne ko to apna hi gereban both hia

    You Can Also REQUEST or SUBMIT  Your Favourite Book,Gazal, Poetry, Game, Software, Lyrics Etc 
    Posted By Sofiya Hayat
    Posted: 26 Oct 2013 07:25 PM PDT
    Uski Aankhon Main Mohabbat Ka Sitara Hoga
    Ek Din Aaye Ga Wo Shakhs Humara Hoga,

    Tum Jahan Mere Liye Sipiyan Chunti Hogi
    Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinara Hoga,

    Zindagi..! Ab K Mera Naam Na Shamil Karna
    Gar Ye Tay Hai K Yehi Khail Dobara Hoga,

    Jis K Hone Se Meri Sasns Chala Karti Thi
    Kis Tarha Us K Bagair Guzara Hoga,

    Ye Achanak Jo Ujaala Sa Hua Jata Hai
    Dil Ne Chupkay Se Tera Naam Pukaara Hoga,

    Ishq Karna Hai To Din Raat Usy Sochna Hai
    Aur Kuch Zehen Main Aaya To Khasara Hoga,

    Ye Jo Pani Main Chala Aaya Sunehri Sa Gharoor
    Us Ne Darya Main Kahin Paun Utara Hoga,

    Kon Rota Hai Yahan Raat K Sunnaton Me
    Mere Jesa Hi Koi Hijar Ka Mara Hoga,

    Mujh Ko Maloom Hai Junhi Main Qadam Rakhun ga
    Zindagi Tera Koi Aur Kinara Hoga,

    Jo Meri Rooh Main Baadal Se Garajte Hain WASI
    Usne Seeny Main Koi Dard Utara Ho Ga,

    Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lunga Us Ko
    Mere Mola Ka WASI Junhi Ishara Hoga
    Posted: 26 Oct 2013 07:24 PM PDT
    Muddat Se Jis K Waasty Dil Be-Qarar Tha

    Wo Laut Kr Na Aaya Magar Intizaar Tha

    Jo Hum-Safar Tha Chor Gaya Raah Main Mujhe

    Main Phans Gaya Bhanwar Main Aur Wo Dariyaa K Paar Tha

    Manzil Qareeb Aai To Tum Door Ho Gaye

    Itna To Tum Batao K Ye Kesa Pyar Tha?

    Dewaar Ye Bana Di Kis Ne Dono K Darmiyaan

    Na Wo Sukoon Se Betha Na Mujh Ko Qarar Tha

    Ye Baat Umar Bhar Samajh Na Paaya Main

    Kiun Dil Mera Us Be-Wafa Ka Talab-gaar Tha
    Posted: 26 Oct 2013 07:23 PM PDT
    Dil Behalta Hai Kahan Anjum-o-Mehtab Se Bhi,
    Ab To Ham Log Gaye Deedah-e-Be Khuwab Se Bhi,

    Ro Para Hun To Koi Baat Hi Aisi Hogi,
    Mein Ke Waqif Tha Tere Hijr Ke Aadab Se Bhi

    Kuch To Us Aankh Ka Shewa Hai Khafa Ho Jana,
    Aur Kuch Bhool Hui Hai Dil-e-Baitab Se Bhi

    Aey Samander Ki Hawa Tera Karam Bhi Maloom,
    Piyas Sahil Ki To Bhujti Nahi Sailab Se Bhi

    Kuch To Us Husn Ko Janay Hai Zamana Sara,
    Aur Kuch Baat Chali Hai Mere Ehbaab Se Bhi
    Posted: 26 Oct 2013 07:22 PM PDT
    Tum Mohabbat Bhi Mosam Ki Tarha Nibhate Ho,
    Kabhi Baraste Ho Kabhi Ek Boond Ko Tarsate Ho,

    Pal Main Kehte Ho Zamane Main Faqat Tere Hain,
    Pal Main Izhaar-e-Mohabbat Se Mukar Jate Ho,

    Bhari Mehfil Main Dushmano ki Tarah Milte Ho,
    Aur Duaaon Main Mera Naam Liye Jate Ho,

    Lakh Mosam Ki Tarah Rung Badalte Raho,
    Aaj Bhi Toot K Shiddat Se Humain Chahte Ho
    Posted: 26 Oct 2013 07:19 PM PDT
    Kesi Bakhshish Ka Yeh Saaman Hua Phirta Hai 
    Shehar Sara Hi Pareshan Hua Phirta Hai

    Aik Barood Ki Jacket Aur Nara-E-Takbeer, 
    Rasta Khald Ka Aasan Hua Phirta Hai

    Kesa Aashiq Hai Tere Naam Pe Quban Hai Magar
    Teri Har Baat Se Anjan Hua Phirta Hai

    Shab Ko Shaitan Bhi Mange Panahain Jis Se
    Subh Who Sahib-E-Emaan Hua Phirta Hai

    Hum Ko Jakra Hai Yahan Jabar Ki Zanjeeron Ne
    Ab To Yeh Shehar Hi Zandaan Hua Phirta Hai

    Janay Kab Kon Kise Maar Day Kafir Keh Kar
    Shehar Ka Shehar Musalman Hua Phirta Hai
    Posted: 26 Oct 2013 07:17 PM PDT
    Ek Shaam Guzari Sahil Pe
    Woh Saath Mere Thi Sahil Pe
    Piyar Bhari Uski Baton Me
    Saanson Me Utarti Khushbu Me
    Zulfon Ki Ghneri Chhaoun Me
    Aankhon Se Uski Maey Pee Kar
    Tha Kesa Nasha Mere Tan Me
    Utarti Hi Gai Who Meri Man Me
    Esi Sham Guzari Sahil Pe
    Kiya Khoob Guzari Sahil Pe
    Posted: 26 Oct 2013 06:54 PM PDT
    HEART is a
    special word for LOVE.
    LOVE is a
    special world for CARE.
    CARE is a
    special word for YOU.
    and
    YOU are
    always special for Me!


    You Can Also REQUEST or SUBMIT  Your Favourite Book,Gazal, Poetry, Game, Software, Lyrics Etc 
    Posted By Sofiya Hayat
    Posted: 26 Oct 2013 06:52 PM PDT
    Tha Bohat Khush Jo Bhula K MujKO,
    Aaj Roya Galey Laga K MujKO,
    Usny Pehla Sawal Ye Pocha,
    Tum Ko Kaisa Laga Ganwa K Mujko?
    Zindagi Ne To Azmaaya Hai,
    Dekh Lo Tum B Aazma K Mujhko,
    Usny Rasta Badal Liya Apna,
    Pyar Ki Raah Par Chala K Mujhko,
    Dey Gaya Umar Bhar K Aanso,
    Jo Kbhi Hansta tha, Hansa K Mujko,
    Ajeeb Shakhs Tha, Jatey Howey Wo,
    Khud Bhi Roya Bohat Rula K Mujko,
    Mujh Ko Pathar Bana K Kehta Hai,
    “Jaan” Dekho Na Muskura K Mujhko.


    You Can Also REQUEST or SUBMIT  Your Favourite Book,Gazal, Poetry, Game, Software, Lyrics Etc 
    Posted By Sofiya Hayat
    Posted: 26 Oct 2013 06:51 PM PDT
    Yahan pal pal jalna parta hai

    Har rang mein dhalna parta hai

    Har mor pe thokar lagti hai

    Har haal mein chalna parta hai

    Har dil ko samjhne ki khatir

    Bas khud say larna parta hai

    Kabhi khud ko khona parta hai

    Kabhi chup k rona parta hai

    Kabhi neend na aye phoolon pay

    Kanton pay b sona parta hai

    Kabhi mar k jeena parta hai

    Kabhi jee k marna parta hai

    Kabhi to khushiyan loat k ayen gi

    Es aas pay jeena parta hai…!



    You Can Also REQUEST or SUBMIT  Your Favourite Book,Gazal, Poetry, Game, Software, Lyrics Etc 
    Posted By Sofiya Hayat
    Posted: 26 Oct 2013 06:45 PM PDT
    Koi Achi si “SAZA” do mujko,
    Chalo aisa karo “BHOLA” do mujko,
    Apne “DIL” me basi “TASVIR” meri
    Aisa karo “JALA” do usko,
    Meri “WAFA” pe agar “SHAK” hai tumko,
    Tu phir “NAZAR” se “GIRA” do mujko,
    Muddat hogai hai tere “HIJR” me “JAGTE” howe,
    Apni “SANSO” ki “HARARAT” se “SULA” do mujko,
    Kuch “TARAS” karo apne “DIWANE” par,
    jaam na sahi “ZEHER” hi pila do mujko,
    Tum se “BICHRON” tu “MoT” aa jai,
    Dil ki “GEHRAYON”se aesi “Dua do mjko,,


    You Can Also REQUEST  Your Favourite Book,Gazal, Poetry, Game, Software, Lyrics Etc


    Posted: 26 Oct 2013 06:43 PM PDT
    “\”Kaho Woh ChanD Kaisa Tha???
    Kaho Woh Dusht Kaisa Tha??
    Jidher Sub Kuch Lutaa Aey
    Jidher Aankhain Ganwaa Aey
    Kaha, SelaaB Jaisa Tha,
    Buhat Chaha k Buch Niklain Mager Sub Kuch Baha Aey
    Kaho, Woh Hijr Kaisa Tha??
    Kabhi Choo Ker Issay DaikhA
    Tou Tum Nay Kiya Bhalaa Paya
    Kaha, Bus AaG Jaisa Tha,
    Ussay Choo Ker Tou Apni Rooh Ye Tann Mann Jala AeY
    Kaho , Woh Wasal Kaisa Tha??
    Tumhay Jub Choo Liya Is Nay
    Tou Kiya Ahsaas Jaga ThA?
    Kaha, Ik Rastay Jaisa
    Jidher Say Bus Guzarna Tha,Makaa’n Lakin Bana Aey
    Kaho, Woh Chand KaisA Tha??
    Falak Say Jo Uter AAya!
    Tumhari Aankh May Basnay
    Kaha, Woh Khwab Jaisa Tha
    Nahi Tabeer Thi Jis Ki, Ussay Ik Shub Sula AeY
    Kaho Woh IshQ Kaisa Tha??
    Bina Sochy Bina Samjhy
    Bina Purkhay Kiya Tum Nay
    Kaha, Titli K Rung Jaisa
    Buhat Kacha Anokha Sa, Jabhi Usko Bhula Aey
    Kaho Woh Naam Kaisa Tha??
    Jissay SahraOon Aur Chanchal
    Hawaon Per Likha Tum Nay
    kaha, Bus MusamOon Jaisa,
    Na Janay Kis Trha Kis Pal Kisi Row Main Mita Aey…


    You Can Also REQUEST  Your Favourite Book,Gazal, Poetry, Game, Software, Lyrics Etc
    Posted: 26 Oct 2013 06:41 PM PDT
    Ab kis se kahen or kon sune
    jo haal tumhare baad huwa
    Is dil ki jheel si aankhon
    mein ik khuwab bohot barbad huwa
    Ye hijar hawa bhi dushman hay
    us naam ke saare rangon ki
    Wo naam jo mere honton per
    khushbu ki tarah aabad huwa
    Us sheher ke kitne chehre thay
    kuch yaad nahi sab bhool gaye
    Ik shakhs kitabon jesa tha
    wo shakhs zabani yaad huwa
    Wo sab jhoote qasmein wadey thay
    dil jin mein khush ho jata tha
    Ab is se farq nahi parta na-shaad
    huwa ya shaad huwa
    Be-naam staish rehti thi in
    gehri sanwli aankhon mein
    Aisa to kabhi socha bhi na tha
    dil ab jitna be-daad huwa

    You Can Also REQUEST  Your Favourite Book,Gazal, Poetry, Lyrics Etc
    Posted: 26 Oct 2013 06:39 PM PDT
    Akele chand ko takna to mujh ko yaad kar lena…
    Kisi bhi baat pe hansna to mujh ko yaad kar lena…
    Bohat se kam aise hain jinhein karna zarori hai…
    Zarori kaam ko karna to mujh ko yaad kar lena…
    Mohabbat woh haqeqat hai jise badla na jaye ga…
    Kitab-e-ishq ko parhna to mujh ko yaad kar lena…
    Mere piyar ki khushboo tmhain kagaz se aye gi..
    Ksi ko shair jo likhna to mujko yaad kr lena

    You Can Also REQUEST  Your Favourite Book, Poetry, Lyrics Etc
    Sofiya Hayat
    Posted: 26 Oct 2013 06:37 PM PDT
    Mere Baba Nae Hain Naa
    Main Tapti Dopahar Mein
    Shehar Ki Serqon Pa Apny Jism Ka
    Indhan Jalata Hon
    To Gher Mein Chulha Jalta Hai
    Mere Hathon Mein Chaaly Per Gy Hain
    Paaon Sy Chipki Hoi Ya Taar Koli Rait
    Mere Sath Rozana Mere Bister Mein Jati Hai
    Muje Apny Badan Sy
    Shehar Ki Rondi Hoi Serqon Ki
    Maili Baas Aati Hai
    Mere Baba Nae Hain Na
    Posted: 26 Oct 2013 06:35 PM PDT

    Kab tak raho gaye aakhir yoon door door hum se,.
    Milna prray ga aakhir ik din zaroor hum se,
    Daman bachanay walay ye berukhi hai kesi,
    Keh do agar huwa hai koi qusoor hum se.?
    Hum chhor dain gaye tum se yoon baat cheet karna,
    Tum poochtay phiro ge apna qusoor hum se.,
    Hum cheen lain ge tum se ye shaan-e-benyazi,
    Tum maangtay phiro ge apna garur hum se…!
    Posted: 26 Oct 2013 08:03 AM PDT


    Wo Mujh Se Bicarh Ker Ab Tak Nahi Roya!
    Koi To Hamderd Hia Jo Use Rone Nahi Deta!





    You Can Also REQUEST  Your Favourite Book, Poetry, Lyrics Etc

0 comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.

 
Back to top!